"Tanha" aayi thi..."tanha" jayungi...
Kuch khushiyan...kuch aansun...samet le jaungi....
Baantna chaha pyaar sabko,
par shayad ranjishen chhod jayungi...
Mere dil par kiye sitam itne,
par naata fir bhi nibhaungi...
Ladki hone par kosa jinhone,
unko kuch ban kar dikhaungi...
Chaahat thi asmaan mein udne ki,
par ab bas mitti mein mil jayungi...
Is nanhi si jaan ko rulaya jinhone,
unki muskurahat ka karan ban jayungi...
Zindagi ke suhane safar mein,
chali thi liye sapne hazaar,
shayad bhool gayi thi,
ki main "tanha" aayi thi..."tanha" jayungi
Kuch khushiyan...kuch aansun...samet le jaungi....
Baantna chaha pyaar sabko,
par shayad ranjishen chhod jayungi...
Mere dil par kiye sitam itne,
par naata fir bhi nibhaungi...
Ladki hone par kosa jinhone,
unko kuch ban kar dikhaungi...
Chaahat thi asmaan mein udne ki,
par ab bas mitti mein mil jayungi...
Is nanhi si jaan ko rulaya jinhone,
unki muskurahat ka karan ban jayungi...
Zindagi ke suhane safar mein,
chali thi liye sapne hazaar,
shayad bhool gayi thi,
ki main "tanha" aayi thi..."tanha" jayungi
Zindagi ke suhane safar mein,
ReplyDeletechala tha liye sapne hazaar,
shayad bhool gaya tha,
ki main tanha aaya tha.tanha jayunga..... true lines,
Hmm yeah bro..now i have actually understood the meaning of "tanhaai" :)
ReplyDeletesis i pray ke mere jaisi tanhaai tumhare life me kabhi na aaye..... tanhaai kabhi aaye hi na. u always stay happy.
DeleteYou'll always feel alone even if someone is always there to hold you. I don't think i matter anywhere in your life.
ReplyDeleteHuff!!! :(